yaadain | یادیں
laug kehte hain yaadoon k sahare zindagi nahi guzari ja sakti. par tumhe sochte kab subha se shaam ho jati hai pata hi nahi chalta. kabhi kisi cheez ko daik k tum yaad aa jao tou main muskura daiti hoon. humari koi larai yaad aa jaye tou main ro dayti hoon. bahir nikloon tou kisi ki muskaan main tum ho. kisi ki baat main tum ho. aur ankhain bandd karoon tou saath tum ho.
phir main kaise maan loon k yaadoon k sahare zindagi nahi guzar sakti?