humari kahan | ہماری کہانی
humari kahani meri pasandeda kahani hai. jante ho bachpan main main mama se zidd kiya karti thi k mujhe pari ki kahani baar baar sunain. aur phir jab tumse mohabbat hui tou khudh ko ussi pari jaisa paya. tasawuur ne kahani ko unginat rangg diye. insaan ki fitrat hai, jab ussi koi cheez pasand aa jaye tou woh usko dohrata hai. ab chahe woh kahani ho, aadat ho, ya phir kisi ka tasawwur. lekin barre ho k insaan ki bohat si aadatain badal jaati hain. na hi woh tajasus rehta hai aur na hi khwaaboon k poora hone ki ziyada umeed. phir meri aadat kyun nahi badli? shayad humari kahani isi liye mujhe azeez hai kyun k mera bachpan humari har yaad, har waade main basa hai. bas farq sirf itna hai k itne saaloon ka tohfa humari buniyaad nahi ban saka. ya shayad yeh bhi ho sakta hai k kahaniyoon main rehne wali woh choti bachi haqeeqat se itna duur ho gayi k usse kahani aur asliyaat main farq bhool gaya. woh bachi aaj bhi ussi kahani main khush hai kyun k kahaniyoon main khwahishain poori ho jati hai. pari khushi khushi zindagi basar karti hai. haqeeqat main aisa kam he hota hai. aur tum tou meri pasandeeda kahani ho…