aapke naam | آپ کے نام
kaise hain aap? rooz Allah se khair ki dua maangti hoon.
bohat baar soocha phone kar loon par himat nahi hui. aaine se faasla barkaraar rakhne main he samajhdaari hai. shayad main bhi darti hoon. haan... ab bhi.
main kuch khaas masroof nahi aaj kal. bas rooz marrah ki zindagi aur ghar k chote mote kaam. laikin raat kab ho jaati hai pata hi nahi chalta. haan subha subha kuch waqt milta hai apne baare main sochne ka par phir sochti hoon apne baare main bhi kya hi sochoon. kya aap ab bhi dayr se uthte hain? dua karti hoon woh achi neend k paloon main se hoon.
mausam ka kuch khaas nahi keh sakti. mujhe har mausam se lagao hai par ab sardiyoon main ziyada sardi lagti hai. shayad dil ka koi marz hai kyun k deemagh se tou sabit qadam hi maloom hoti hoon. aapki bhaiji huwi shawl mujhe bohat pasand aayi. yaad bhi nahi parta itna shohk rangg pichli baar kab pehna tha par oorh kar acha laga. aunty zeenat ne daikha tou kehne lageen k chehra bilkul gulaab sa lagne laga hai shayad umeed e bahaar ki khushi hai. main sirf muskura di... aaine se wakiye ab parhaiz hai.
kuch rooz pehle maine bhi faiz sahab k kuch ashaar parhe. woh likhte hain:
kabhi kabhi arzu ke sahra mein aake rukte hain qafile se
wo sari batein laga'o ki si, wo sare unwan visal ke se
kabhi kabhi lagta hai jaise yaadein hi sab kuch hoti hain kyun k banda haal main kam aur maazi main ziyada waqt guzaarta hai. ya phir aane wale kal ki khwahish main. aapka ziyada waqt kahan guzarta hai? kisi ki yaad k saath ya kisi k khwaab main? iss baat ka jawab na diya tou main naraaz ho jaon gi. intezaar rahe ga.
chalain baaqi ki baatein humare aane wale kal pe multawi karti hoon.
apna khayal rakhiye ga.